Chand Raato Ko Nikle Na Nikle Lyrics - Asha Bhosle

Chand Raato Ko Nikle Na Nikle lyrics, the song is sung by Asha Bhosle from Aisa Bhi Hota Hai (1971). The music of Chand Raato Ko Nikle Na Nikle Sad track is composed by Omkar Prasad Nayyar while the lyrics are penned by Shamsul Huda Bihari (S. H. Bihari).

Chand raato ko nikle na nikle
Chand raato ko nikle na nikle
Din mein suraj na chamke to kya hai
Apne chote se ghar mein ujala
Ab sada ke liye ho gaya hai
Chand raato ko nikle na nikle
Din me suraj na chamke to kya hai

bharatlyrics.com

Ek hasi iski hai sari duniya meri
Ek muskan so sal ki zindagi
Mujhko duniya mein ab or kya chahiye
Mil gayi hai jamane ki sari khushi
Maine kal ko jo dekha tha sapna
Aaj kismat se pura hua hai
Apne chhote se ghar mein ujala
Ab sada ke liye ho gaya hai
Chand raato ko nikle na nikle
Din mein suraj na chamke to kya hai

Har ghadi har samay muskurata hua
Phool sa bachpana meri baho mein ho
Lal mera bada hoke jaye jaha
Kamyadi sada iski raho mein ho
Dur har dum rahe gum ke saye
Ye hamesha hi meri dua hai
Apne chote se ghar mein ujala
Ab sada ke liye ho gaya hai
Chand raato ko nikle na nikle
Din mein suraj na chamke to kya hai.

Chand Raato Ko Nikle Na Nikle Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download