Chhod De Saari Duniya Lyrics - Lata Mangeshkar

Chhod De Saari Duniya lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Saraswatichandra (1968). The music of Chhod De Saari Duniya Sad track is composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah while the lyrics are penned by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).

Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye

bharatlyrics.com

Tan se tan kaa milan ho na paayaa to kyaa
Man se man kaa milan koyi kam to nahin
Man se man kaa milan koyi kam to nahin
Khushboo aati rahe door hi se sahi
Saamne ho chaman koyi kam to nahin
Saamne ho chaman koyi kam to nahin
Chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
Chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
Hai diyaa hi bahut roshni ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye

Kitni hasrat se takti hain kaliyaan tumhen
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Ek duniyaa ujad hi gayi hai to kyaa
Doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
Doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
Dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
Dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
Chalnaa padtaa hai sab ki khushi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye.

Chhod De Saari Duniya Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

FAQs

The song Chhod De Saari Duniya is from the Saraswatichandra (1968).

The song Chhod De Saari Duniya was sung by Lata Mangeshkar.

The music for Chhod De Saari Duniya was composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah.

The lyrics for Chhod De Saari Duniya were written by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).

The music director for Chhod De Saari Duniya is Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah.

The song Chhod De Saari Duniya was released under the Saregama.

The genre of the song Chhod De Saari Duniya is Sad.