Phool Tumhe Bheja Lyrics - Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Phool Tumhe Bheja lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Saraswatichandra (1968). Phool Tumhe Bheja Romantic soundtrack was composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah with lyrics written by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).

Phool tumhe bheja hai khat me
Phool nahi mera dil hai
Phool tumhe bheja hai khat me
Phool nahi mera dil hai
Priytam mere mujhko likhna
Kya yeh tumhare kabil hai

bharatlyrics.com

Pyar chupa hai khat me itna
Jitne saagar me moti
Pyar chupa hai khat me itna
Jitne saagar me moti
Chum hi leta haath tumhara
Paas jo tum mere hoti
Phool tumhe bheja hai khat me

Neend tumhe to aati hogi
Kya dekha tumne sapna
Neend tumhe to aati hogi
Kya dekha tumne sapna
Aankh khuli to tanhai thi
Sapna ho na saka apna
Tanhai hum dur karege
Le aao tum sahnai
Le aao tum sahnai
Preet bada kar bhul na jana
Preet tumhi ne sikhlayi
Phool tumhe bheja hai khat me
Phool nahi mera dil hai
Phool tumhe bheja hai khat me

Khat se ji bharta hi nahi
Ab nain mile to chen mile
Khat se ji bharta hi nahi
Ab nain mile to chen mile
Chand hamare agna utre
Koi to aisi rain mile
Milna ho to kaise mile hum
Milne ki surat likh do
Milne ki surat likh do
Nain bichaye baithe hai hum
Kab aaoge khat likh do
Phool tumhe bheja hai khat me
Phool nahi mera dil hai
Phool tumhe bheja hai khat me.

Phool Tumhe Bheja Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download