Dard Ka Saaz Bhi Hai Lyrics - Lata Mangeshkar

Dard Ka Saaz Bhi Hai lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Milap (1955). The music of Dard Ka Saaz Bhi Hai Mujra track is composed by Datta Naik while the lyrics are penned by Sahir Ludhianvi.

Dard ka saaz bhi hai dil ki aawaz bhi hai
Dard ka saaz bhi hai dil ki aawaz bhi hai
Chhed wo rag ke jo aag laga de
Dard ka saaz bhi hai dil ki aawaz bhi hai
Chhed wo rag ke jo aag laga de
Dard ka saaz bhi hai

Bahut sard hai jindagi ki fizaye
Bahut sard hai jindagi ki fizaye
Bahut tej hai aaj jalim hawaye
Kahi rasto ke diye bujh na jaye
Kahi rasto ke diye bujh na jaye
Meri manjil se jara mujhko sada de
Meri manjil se jara mujhko sada de
Dard ka saaz bhi hai dil ki aawaz bhi hai
Chhed wo rag ke jo aag laga de
Dard ka saaz bhi hai

Mohabbat ke sadmo se do char hokar
Mohabbat ke sadmo se do char hokar
Jamane ki rashmo se bejar hokar
Tere pas aaye hai lachar hokar
Tere pas aaye hai lachar hokar
Hamko jine ki koi rah dikhade
Hamko jine ki koi rah dikhade
Dard ka saaz bhi hai dil ki aawaz bhi hai
Chhed wo rag ke jo aag laga de
Dard ka saaz bhi hai

bharatlyrics.com

Kayi khwab jage kayi so gaye hai
Kayi khwab jage kayi so gaye hai
Na pucho ke hum kya se kya ho gaye hai
Unhe dhundhte dhundhte kho gaye hai
Unhe dhundhte dhundhte kho gaye hai
Hamko unse na sahi hamse mila de
Hamko unse na sahi hamse mila de
Dard ka saaz bhi hai dil ki aawaz bhi hai
Chhed wo rag ke jo aag laga de
Dard ka saaz bhi hai.

Dard Ka Saaz Bhi Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download