Daulat Ke Lalach Mein Lyrics - Mohammed Rafi

Daulat Ke Lalach Mein lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Alladdin Laila (1957). Daulat Ke Lalach Mein Religious soundtrack was composed by A.R. Qureshi with lyrics written by Asad Bhopali.

Daulat ke lalach me
Daulat ke lalach me
Ye dunia kho baithi iman
Khuda ko bhul gaya insan
Khuda ko bhul gaya insan
Daulat ke lalach me
Daulat ke lalach me
Ye dunia kho baithi iman
Khuda ko bhul gaya insan
Khuda ko bhul gaya insan

bharatlyrics.com

Apne bhi begane bane hai
Khun ka rishta tod ke
Apne bhi begane bane hai
Khun ka rishta tod ke
Beta maa ko thukrata hai
Nafrat se muh mod ke
Nafrat se muh mod ke
Or hamari is halat pe
Or hamari is halat pe
Hasta hai saitan
Khuda ko bhul gaya insan
Khuda ko bhul gaya insan

Dil me gunaho ka hai andhera
Shama buthi sachi ki
Dil me gunaho ka hai andhera
Shama buthi sachi ki
Sunne ko tyar nahi hai
Koi bat bhalayi ki
Koi bat bhalayi ki
Jaise kisi ko neki badi ki
Jaise kisi ko neki badi ki
Nahi rahi pahchan
Khuda ko bhul gaya insan
Khuda ko bhul gaya insan.

Daulat Ke Lalach Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download