Dekho Bhagwan Ye Pyara Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Dekho Bhagwan Ye Pyara lyrics, the song is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Veer Bhimsen (1964). Dekho Bhagwan Ye Pyara Sad soundtrack was composed by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) with lyrics written by Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep).

Dekho bhagwan ye pyara
Desh hua shamshan
Dekho bhagwan ye pyara
Desh hua shamshan
Dekho bhagwan

He bhagwan ye kaisi ladai
Vida hue bahno se bhai
Is mata ka
Is mata ka gaya sahara
Is mata ka gaya sahara
Beta mara jawan
Pyara desh hua shamshan
Dekho bhagwan

Kitna sundar ye khilona
Saha na jata iska rona
Kitna sundar ye khilona
Saha na jata iska rona
Kaha hai iska pita batao
Kaha hai iska pita batao
Ye balak nadan
Pyara desh hua shamshan
Dekho bhagwan

bharatlyrics.com

Ye nari kal tak thi suhagan
Ho gayi vidhwa aaj abhagan
Is dukhiya ka
Is dukhiya ka piya hua hai
Is dukhiya ka piya hua hai
Maut ke ghar mehman
Pyara desh hua shamshsan
Dekho bhagwan
Ye pyara desh hua shamshan
Dekho bhagwan.

Dekho Bhagwan Ye Pyara Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download