Dil Todne Wale Lyrics - Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Dil Todne Wale lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi from Son Of India (1962). Dil Todne Wale Sad soundtrack was composed by Naushad Ali with lyrics written by Shakeel Badayuni.

Dil todne vale tujhe
Dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Aavaz de tu kon si nagari
Me chhupa hai dil todne vale

Tu hum ko jo mil jaye
To hal apna sunaye
Khud roye kabhi aur
Kabhi tujhko rulaye
Kabhi tujhko rulaye
Wo dag dikhaye jo
Hame tune diya hai

Aiye dil ke sahare tujhe
Dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Sine me teri yaad
Ka tufan utha hai
Aiye dil ke sahare

Dil me to ye hasrat
Hai tere pas mai aau
Nazaro se gira hu to
Nazar kaise milau
Nazar kaise milau
Badnam hu nakam hu
Kya mujh me raha hai
Aiye dil ke sahare
Tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai

Dikhla ke kinara
Mujhe mallah ne luta
Kashti bhi gayi hath se
Patvar bhi chhuta
Patvar bhi chhuta
Ab aur na jane meri
Taqadir me kya hai
Dil todne vale tujhe
Dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai

bharatlyrics.com

Bechain udhar tu hai to
Majbur idhar hum
Baithe hai chhupaye huye
Ashqo me tera gam
Ashqo me tera gam
Har chot ubhar aayi hai
Har zakhm hara hai
Dil todne vale tujhe
Dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai.

Dil Todne Wale Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download