Din Bure Hote Hai Lyrics - Mohammed Rafi

Din Bure Hote Hai lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Sangdil (1968). Din Bure Hote Hai Sad soundtrack was composed by G.S. Kohli with lyrics written by Anjaan.

Din bure hote hai halat bure hote hai
Din bure hote hai halat bure hote hai
Aadmi to bura nahi hota
Din bure hote hai halat bure hote hai

Har subha koi naya dard liye aati hai
Har nayi sham aansu me dub jati hai
Maut se pahle jo mar jate hai
Unse puchho
Zindagi aadmi par kaise sitam dhati hai
Din bure hote hai halat bure hote hai
Aadmi to bura nahi hota
Din bure hote hai halat bure hote hai

Julm sahate hai tadapte hai aah bharte hai
Hoke majbur khud ko ham tabha karte hai
Zindagi me kai aise bhi mod aate hai

Ham nahi chahate phir bhi gunah karte hai
Din bure hote hai halat bure hote hai
Aadmi to bura nahi hota
Din bure hote hai halat bure hote hai

bharatlyrics.com

Dava ke badle kahi jahar pila deti hai
Dulhan ki mang ka sindur mita deti hai
Ye garibi ye bhukh aur havash jine ki

Yaha insan ko haivan bana deti hai
Din bure hote hai halat bure hote hai
Aadmi to bura nahi hota
Din bure hote hai halat bure hote hai
Aadmi to bura nahi hota
Din bure hote hai halat bure hote hai.

Din Bure Hote Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download