Ek Sarzameen (Title) Lyrics - Anjana Ankur Singh

Ek Sarzameen (Title) lyrics, the song is sung by Anjana Ankur Singh from Ek Sarzameen (2016). The music of Ek Sarzameen (Title) Philosophical track is composed by Anjana Ankur Singh while the lyrics are penned by Shakir Razawarsi.

Ek sarzameen ne jo zehar ugaya hai,
Usne usi ka gulistan jalaya hai,
Chalate hai jo havaaniyat ke karvaane,
Usne unhi ke farishton ko sulaya hai,

Ek sarzameen ne jo zehar ugaya hai,
Usne usi ka gulistan jalaya hai,
Chalate hai jo havaaniyat ke karvaane,
Usne unhi ke farishton ko sulaya hai,

Nana na na..nana na na..

bharatlyrics.com

Farsh pe bikhri wo kitaaben,
Khamosh padi wo awaazein,
Chilaati hai wo deewarein,
Darr se dodte wo bechare,

Nana na na..nana na na..

Zannat ko nafrat hai unse,
Jahnoom ne bhi unhe thukraya hai,
Har tadapti insaniyat ne unke liye,
Bad-duaon ka kabristan banaya hai,

Masoom ki maiyat jab uthi toh,
Mamta bhare kalejon ne khoon bhaya hai,
Mazhab aur mulak ki baat mat karna,
Aaj shetano ne farishton ko dafnaya hai,

Nana na na..nana na na..

Num aankhon mein jhalakte,
Bikhre wo safed kapde,
Kafan se hai jo lipte,
Dil ke kitne tukde,

Ek sarzameen ne jo zehar ugaya hai,
Usne usi ka gulistan jalaya hai,

Ek Sarzameen (Title) Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download