Ek Taraf Jal Lyrics - Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Zohrabai Ambalewali

Ek Taraf Jal lyrics, the song is sung by Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Zohrabai Ambalewali from Preet Ka Geet (1950). Ek Taraf Jal Sad soundtrack was composed by Shyam Babu Pathak with lyrics written by Premi.

Ek taraf jal raha deepak
Ek taraf jale mera dil
Jal jal ke yeh jeena kaisa re
Jo marne se bhi mushkil
Jo marne se bhi mushkil

Meri sajaniya mujhse chhuti
Mere man ki aasha mujhse ruthi
Meri sajaniya mujhse chhuti
Mere man ki aasha mujhse ruthi
Mere naino mein chhalak gaye aasu re
Jaise nabh mein taaro ki mehfil
Jaise nabh mein taaro ki mehfil

bharatlyrics.com

Mere piya ne mujhse mukh moda
Haye preet ka yarana
Kab toda haye toda
Mere piya ne mujhse mukh moda
Haye preet ka yarana
Kab toda haye toda
Yaaro ghor andhera dekho chaye re
Mujhe dikhti nahi hai manzil
Mujhe dikhti nahi hai manzil

Thi jinse mujhe itni aasha
Rakh gaye jigar ko
Wo pyasa haye pyasa
Thi jinse mujhe itni aasha
Rakh gaye jigar ko
Wo pyasa haye pyasa
Har sans pukare meri piya piya re
Mere preetam abhi to aake mil
Pyare preetam abhi to aake mil
Ek taraf jal raha deepak
Ek taraf jale mera dil
Jal jal ke yeh jeena kaisa re
Jo marne se bhi mushkil
Jo marne se bhi mushkil.

Ek Taraf Jal Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download