Ghar Ki Tijori Mein Lyrics - Jatin Pandit, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Ghar Ki Tijori Mein lyrics, the song is sung by Jatin Pandit, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Laparwah (1981). The music of Ghar Ki Tijori Mein Philosophical track is composed by Bappi Lahiri while the lyrics are penned by Ramesh Pant.

Ghar ki tijori
Ghar ki tijori mein to lakho
Mann ki tijori khali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re
Ghar ki tijori mein to lakho
Mann ki tijori khali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali

Chahe duniya badle lekin
Dil na kisi ka badle
Apne or paraye ko tu
Achhi tarah parakh le
Chahe duniya badle lekin
Are dil na kisi ka badle
Apne or paraye ko tu
Achhi tarah parakh le
Subah ka bhula
Subah ka bhula sham ko lauta
Ram kare rakhwali re
Aisa maal kamane se
To lakh bhali kangali re
Aisa maal kamane se
To lakh bhali kangali re

Chamak dekh kar sone ki
Hum ho jate andhe
Are chamak dekh kar sone ki
Hum ho jate andhe
Jeevan bhar karte rahte hai
Khote kale dhandhe
Chamak dekh kar sone ki
Hum ho jate andhe
Jeevan bhar karte rahte hai
Khote kale dhandhe
Sari duniya
Sari duniya nafrat karti
Har koi deta gaali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re

bharatlyrics.com

Matlab bahut bada hai lekin
Baat bahut hai chhoti
Mehnat ke do paise achhe
Mehnat ki do roti
Matlab bahut bada hai lekin
Baat bahut hai chhoti
Mehnat ke do paise achhe
Mehnat ki do roti
Sab ko khani hai
Sab ko khani hai do roti
Sadhu ho ya mawali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re

Ghar ki tijori mein to lakho
Mann ki tijori khali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re
Aisa maal kamane se to
Lakh bhali kangali re.

Ghar Ki Tijori Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download