Haath Chhute Bhi Toh Lyrics - Jagjit Singh

Haath Chhute Bhi Toh lyrics, the song is sung by Jagjit Singh from Marasim (1999). The music of Haath Chhute Bhi Toh Ghazal, Sad track is composed by Jagjit Singh while the lyrics are penned by Gulzar (Sampooran Singh Kalra).

Haath chhuten bhi toh
Rishthe nahin chhoda karthe
Haath chhuten bhi toh
Rishthe nahin chhoda karthe
Waqt ki shaak se
Lamhein nahin toda karthe
Haath chhuten bhi toh
Rishthe nahin chhoda karthe

bharatlyrics.com

Jiski aawaaz mein silwat ho
Nigahon mein shikan
Jiski aawaaz mein silwat ho
Nigahon mein shikan
Aisi tasvir ke tukde nahin joda karthe
Aisi tasvir ke tukde nahin joda karthe

Shahad jeene ka
Mila karta hai tohda tohda
Shahad jeene ka
Mila karta hai tohda tohda
Jaane waalon ke liye
Dil nahin tohda karthe
Jaane waalon ke liye
Dil nahin tohda karthe

Lagke saahil se jo
Behata hai use behane do
Lagke saahil se jo
Behata hai use behane do
Aisi dariya ka kabhi
Rukh nahin moda karthe
Aisi dariya ka kabhi
Rukh nahin moda karthe
Waqt ki shaak se
Lamhein nahin toda karthe
Haath chhuten bhi toh
Rishthe nahin chhoda karthe.

Haath Chhute Bhi Toh Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download