Himmat Na Haar Arey Bande Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Himmat Na Haar Arey Bande lyrics, the song is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Zamana (1957). The music of Himmat Na Haar Arey Bande Playful track is composed by Anil Krishna Biswas while the lyrics are penned by Qamar Jalalabadi.

Himmat na haar arey bande
Himmat na haar arey bande
Naiya se kinaara dur nahin
Himmat na haar
Insaan to hai majbur magar
Bhagwaan kabhi majbur nahin
Himmat na haar arey bande
Naiya se kinaara dur nahin
Himmat na haar

bharatlyrics.com

Jab sar pe musibat aati hai
Jab sar pe musibat aati ha
Saari duniya thukraati hai
Duniya ka ye dastur sahi
Bhagwaan ka ye dastur nahin
Himmat na haar arey bande
Naiya se kinaara dur nahin
Himmat na haar

Jo hona thha so ho ke raha
Jo hona thha so ho ke raha
Tu dil ke tukde phir se uthha
Ik thhes lagi hai chhoti si
Hua shisha chaknaachur nahin
Himmat na haar arey bande
Naiya se kinaara dur nahin
Himmat na haar

Kudrat ne tujhe do haath diye
Kudrat ne tujhe do haath diye
Mehnata mein sharam ki baat ko kya
Koi tan beche koi man beche
Arey kaun yahaan majdur nahin
Himmat na haar himmat na haar
Himmat na haar.

Himmat Na Haar Arey Bande Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download