Intzaar Ki Lanbi Raate Kat Lyrics - Shankar Mahadevan

Intzaar Ki Lanbi Raate Kat lyrics, the song is sung by Shankar Mahadevan from Dulhan Banoo Main Teri (1999). Intzaar Ki Lanbi Raate Kat Playful soundtrack was composed by Raamlaxman (Vijay Patil) with lyrics written by Ravinder Rawal.

Intzaar ki lanbi raate kat
Jayengi aankho mein
Teri yaad aayegi jab jab
Phul khilenge shakho mein
Wo royi hogi jo yu baithe
Baithe mera khayaal aaya hoga
Yaado ke ghere mein usne
Khudko kitana tanha paya hoga
Naa jane kaise usne
Mujhe bhulaya hoga
Meri khaatir shaam ko
Tune roj shingaar kiya hoga
Subah udhkar bhaari man
Se roj utara hoga

Tasvir aankho mein liya
Ham to yaado mein jiye
Pure wo ho naa sake
Vaade jo humne kiye
Use bhi tuti kasmo ne rulaaya hoga
Use bhi tuti kasmo ne rulaaya hoga
Wo royi hogi jo yu baithe
Baithe mera khayal aaya hoga

bharatlyrics.com

Wo jab milne aati thi ek
Khushbu lekar aati thi
Wo milkar chal deti thi
Magar wo khushbu reh jati thi
Wo badan shabnam kaa
Tha husn wo punam ka tha
Rang uske roop mein jaise
Har mausam kaa tha
Hatho se apne use
Rab ne banaya hoga
Hatho se apne use
Rab ne banaya hoga
Wo royi hogi jo yu baithe
Baithe mera khayaal aaya hoga

Jhuki jhuki si ankhiyo
Se milti hogi sakhiyo se
Baago mein naa  boli hogi
Jakar phoolo kaliyo se
Dard ye tadpaayega
Wo sada yaad ayega
Ab jake saath hi dil
Se ye gam jayega
Na bhula main use na
Usne mujhe bhulaya hoga
Na bhula main use na
Usne mujhe bhulaya hoga
Wo royi hogi jo yu baithe
Baithe mera khayaal aaya hoga

Naa juda honge hummaut se bhi sanam
Jaan hai tu meri saath hai har kadam
Naa juda honge hummaut se bhi sanam
Jaan hai tu meri saath hai har kadam
Naa juda honge hummaut se bhi sanam
Jaan hai tu meri saath hai har kadam
Naa juda honge hummaut se bhi sanam
Jaan hai tu meri saath hai har kadam
Naa judaa honge hum.

Intzaar Ki Lanbi Raate Kat Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *