Ishq Ki Garmi E Jazbaat Lyrics - Mohammed Rafi

Ishq Ki Garmi E Jazbaat lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Gazal (1964). Ishq Ki Garmi E Jazbaat Love soundtrack was composed by Madan Mohan Kohli with lyrics written by Sahir Ludhianvi.

Hmm hmm hmm
Hmm hmm hmm
Hmm hmm hmm

bharatlyrics.com

Ishq ki garmi e jazbaat kise pesh karoon
Ishq ki garmi e jazbaat kise pesh karoon
Ye sulagte huye din raat kise pesh karoon
Ishq ki garmi e jazbaat kise pesh karoon
Ishq ki garmi e

Husn aur husn ka har naaz hai parde mein abhi
Husn aur husn ka har naaz hai parde mein abhi
Apni nazron ki shikayat kise pesh karoon
Apni nazaron ki shikayat kise pesh karoon
Ishq ke garmi e

Teri aawaaz ke jadoo ne jagaya hai jinhen
Teri aawaaz ke jadoo ne jagaya hai jinhen
Wo tassawur wo khayalat kise pesh karoon
Wo tassawur wo khayalat kise pesh karoon
Ishq ki garmi e

Ae meri jaan e ghazal
Ae meri imaan e ghazal
Ae meri jaan e ghazal
Ae meri imaan e ghazal
Ab siwaa tere
Ye naghmaat kise pesh karoon
Ab siwaa tere
Ye naghmaat kise pesh karoon
Ishq ki garmi e

Koi hamraaz to paaoon
Koi hamdam to miley
Koi hamraaz to paaoon
Koi hamdam to miley
Dil ki dhadkan ke
Ishaaraat kise pesh karoon
Dil ki dhadkan ke
Koi hamraaz to paaoon
Koi hamdam to miley
Dil ki dhadkan ke
Ishaaraat kise pesh karoon
Ishq ki garmi e jazbbat kise pesh karoon
Ye sulagte huye din raat kise pesh karoon
Ishq ki garmi e.

Ishq Ki Garmi E Jazbaat Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download