Jaane Bahaar Yaaro Ka Yaar Lyrics - Kishore Kumar

Jaane Bahaar Yaaro Ka Yaar lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Jaan-E-Bahaar (1979). Jaane Bahaar Yaaro Ka Yaar Playful soundtrack was composed by Bappi Lahiri with lyrics written by Gauhar Kanpuri.

He main hu rahi mastana
Mujhe samjho na diwana
Main jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana
He main hu rahi mastana
Mujhe samjho na diwana
Main jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana

Hum jo bahke mahke bahare
Hum hase to hasti hai kaliya
Hum ruke to ruk jaye rahe
Hum chale to chalti hai dunia
Main hu rahi mastana
Mujhe samjho na diwana
Mani jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana

bharatlyrics.com

Hai ye dharti apna bishtar
Or gagan hai apni chadar
Shardi garmi aandhi tufa
Apne aage ek barabar
Main hu rahi mastana
Mujhe samjho na diwana
Main jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana

Itna sa hai mera fasana
Sabke bigde kam banana
Apno se hai yaari apni
Gairo ko bhi apna jana
Main hu rahi mastana
Mujhe samjho na deewana
Main jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana
Jane bahar yaro ka yar
Yaro mujhe sabse hai pyar.

Jaane Bahaar Yaaro Ka Yaar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download