Jaata Hoon Main Lyrics - Mohammed Rafi

Jaata Hoon Main lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Daadi Maa (1966). The music of Jaata Hoon Main Sad track is composed by Roshanlal Nagrath (Roshan) while the lyrics are penned by Majrooh Sultanpuri.

Jaata hoon main mujhe ab na bulana
Meri yaad bhi apne dil me na lana
Mera hai kya meri manzil na koi thikana
Jaata hoon main

Pyasa tha bachapan jawani bhi meri pyasi
Pichhe ghamo ki gali aage udasi
Pyasa tha bachapan jawani bhi meri pyasi
Pichhe ghamo ki gali aage udasi

Ho mai tanhayi ka rahi koi apna na begana
Mujhe ab na bulana
Meri yaad bhi apne dil me na lana
Mera hai kya meri manzil na koi thikana

bharatlyrics.com

Mujhko hansi bhi mili saye liye dukh ke
Khul ke na roya kisi kandhe pe jhuk ke
Mujhko hansi bhi mili saye liye dukh ke
Khul ke na roya kisi kandhe pe jhuk ke
Ho mera jiwan bhi kya hai
Adhura sa ek afasana
Mujhe ab na bulana
Meri yaad bhi apne dil me na lana
Mera hai kya meri manzil na koi thikana
Jaata hoon main

Tha pyar ka ik diya wo bhi bujha dala
Dhundhala sa bhi kahi kyu ho ujala
Tha pyar ka ik diya wo bhi bujha dala
Dhundhala sa bhi kahi kyu ho ujala
Ho ab un yaado se kah do
Meri duniya me na aana
Mujhe ab na bulana
Meri yaad bhi apne dil me na lana
Mera hai kya meri manzil na koi thikana.

Jaata Hoon Main Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download