Jab Chaha Yaara Tumne Lyrics - Kishore Kumar

Jab Chaha Yaara Tumne lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Zabardast (1985). The music of Jab Chaha Yaara Tumne Masti track is composed by Rahul Dev Burman while the lyrics are penned by Majrooh Sultanpuri.

Jab chaha yaara tumne
Aankhon se maara tumne
Hothon se zinda kar diya ho ho ho
Jab chaha yaara tumne
Aankhon se maara tumne
Hothon se zinda kar diya
Are tumhari marzi pe chal rahe hain
Khata hamari kya ho
Jab chaha yaara tumne
Aankhon se maara tumne
Hothon se zinda kar diya

Chalo ji hum bure sahi
Chalo ji hum jhoote hain
Magar isi nigaah se
Hazaar dil toote hain
Chalo ji hum bure sahi
Chalo ji hum jhoote hain
Magar isi nigaah se
Hazaar dil toote hain
Are kasam se kehna hamari surat
Nahin hain pyari kya ho
Jab chaha yaara tumne
Aankhon se maara tumne
Hothon se zinda kar diya
Are tumhari marzi pe chal rahe hain
Khata hamari kya ho
Jab chaha yaara tumne
Aankhon se maara tumne
Hothon se zinda kar diya

bharatlyrics.com

Samajh sako to humsafar
Hamein tum apna jaano
Udhar nahin idhar chalo
Kabhi to kehna mano
Samajh sako to humsafar
Hamein tum apna jaano
Udhar nahin idhar chalo
Kabhi to kehna mano
Are lipat ke pucho
Ke aage marzi ki ab hamari kya ho
Jab chaha yaara tumne
Aankhon se maara tumne
Hothon se zinda kar diya
Are tumhari marzi pe chal rahe hain
Khata hamari kya ho
Jab chaha yaara tumne
Aankhon se maara tumne
Hothon se zinda kar diya.

Jab Chaha Yaara Tumne Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download