Is Jaha Ka Pyar Jhutha Lyrics - Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Is Jaha Ka Pyar Jhutha lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Amar Deep (1958). The music of Is Jaha Ka Pyar Jhutha Dance track is composed by while the lyrics are penned by Rajendra Krishan.

Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha
Ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
Sara karobar jhutha
Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha

bharatlyrics.com

Pahle khat likhte the aashik
Apne dil ke khun se
Ab to khusbu itar ki aane lagi hai
Us majmun se
Ha ha us majmun se
Dil ka har bimar jhutha
Maut ka bhi pyar jhutha
Ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
Sara karobar jhutha
Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha

Ghumti firti hai
Ghumti firti hai laila
Ab to motar car me
Ab to motar car me
Or cycle pe miya majnu
Mile bazar me
Ho ut or mahmil kaha
Ab to hotel hai miya
Jab mansuri ko chali jati hai
Shiri june me
To miya farhad aa jate hai
Dehra dun me
Ab ka pesh na pahad
Ishk ka gulshan ujad
Phul jhute khar jhuthe
Pyar ka guljar jhutha
Pyar ka guljar jhutha
Ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
Sara karobar jhutha
Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha

Ab kaha wo pahle jaise
Dil bari ke rang bhi
Haye dil bari ke rang bhi
Kya se kya kuch ho gaye
Ab aashiki ke dhang bhi
Ishk ke rang bhi
Dilbari ke rang bhi
Ishk ka izhar bhi jhutha
Ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
Sara karobar jhutha
Is jaha ka pyar jhutha
Yar ka ikrar jhutha.

Is Jaha Ka Pyar Jhutha Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download