Jate Jate Humse Khafa Ho Gaye Lyrics - Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Jate Jate Humse Khafa Ho Gaye lyrics, the song is sung by Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Aankh Micholi (1962). Jate Jate Humse Khafa Ho Gaye Masti soundtrack was composed by Chitragupta Shrivastava with lyrics written by Majrooh Sultanpuri.

Wo to jaate jaate
Ham se khafaa ho gaye
Ham bhi baithe
Baithe un pe fidaa ho gaye
Wo to jaate jaate
Ham se khafaa ho gaye
Ham bhi baithe baithe
Un pe fidaa ho gaye

bharatlyrics.com

Yoon hi raahon
Me unki baahon ko
Jab ham lage thaamne
Lahraaye se bal khaaye se
Wo ruke mere saamne
Yoon hi raahon
Me unki baahon ko
Jab ham lage thaamne
Lahraaye se bal khaaye se
Wo ruke mere saamne
Phir bhi rukte rukte
Wo to hawaa ho gaye
Ham bhi baithe
Baithe unpe fidaa ho gaye
Wo to jaate jaate
Hamse khafaa ho gaye
Ham bhi baite baithe
Unpe fidaa ho gaye

Aankhon ankhon mein
Baaton baaton mein
Maine chhedi jo raagini
Ye na poochhiye
Kaise roothi hai
Gore mukhde ki chaandni
Aankhon aankhon mein
Baaton baaton mein
Maine chhedi jo raagini
Ye na poochhiye
Kaise roothi hai
Gore mukhde ki chaandni
Gesu bikhre bikhre
Kaali ghata ho gaye
Ham bhi baithe
Baithe unpe fidaa ho gaye
Wo to jaate jaate
Hamse khafaa ho gaye
Ham bhi baite baithe
Unpe fidaa ho gaye

Kaisa hansna ji
Kaisa milna ji
Nahin poochaa mizaaj bhi
Dil ki hai wohi
Ham bhi hain wohi
Jinke liye aaj bhi
Kaisa hansna ji
Kaisa milna ji
Nahin poochaa mizaaj bhi
Dil ki hai wohi
Ham bhi hain wohi
Jinke liye aaj bhi
Wo hi milte milte
Hamse judaa ho gaye
Ham bhi baite baithe
Unpe fidaa ho gaye
Wo to jaate jaate
Hamse khafa ho gaye
Ham bhi baite baithe
Unpe fidaa ho gaye.

Jate Jate Humse Khafa Ho Gaye Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download