Kachhu Samajh Nahin Aaye Lyrics - Chandru Atma (C. H. Atma)

Kachhu Samajh Nahin Aaye lyrics, the song is sung by Chandru Atma (C. H. Atma) from Aasmaan (1952). Kachhu Samajh Nahin Aaye Sad soundtrack was composed by Omkar Prasad Nayyar with lyrics written by Prem Dhawan.

Kachhu samajh nahin aaye
Kachhu samajh nahin aaye mohey
Is duniya ki baat
Is duniya ki baat
Kachhu samajh nahin aaye

Kabhi hansaaye
Kabhi rulaaye
Kabhi banaaye
Kabhi mitaaye
Jaane kya kya khel rachaaye
Ye duniya din raat
Ye duniya din raat
Ye duniya din raat
Kachhu samajh nahin aaye

bharatlyrics.com

Kaun kisi ke aansoo ponche
Har koi apna sukh soche
Kaun kisi ke aansoo ponche
Har koi apna sukh soche
Is duniya mein kab deta hai
Koi kisi ka saath
Koi kisi ka saath
Koi kisi ka saath
Kachhu samajh nahin aaye

Ae matwaalon
Himmatwaalon
Dhoondho na koi sahaara
Aaa, ae matwaalon
Himmatwaalon
Dhoondho na koi sahaara
Lehron ko patwaar banaa lo
Aur naiyya ko kinaara
Raat mein hain prabhaat
Kisi andhiyaare mein ujiyaara
Andhiyaare mein ujiyaara.

Kachhu Samajh Nahin Aaye Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download