Kale Kale Aaye Badarwa Lyrics - Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)

Kale Kale Aaye Badarwa lyrics, the song is sung by Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya) from Naatak (1947). Kale Kale Aaye Badarwa Happy soundtrack was composed by Naushad Ali with lyrics written by Shakeel Badayuni.

Kale kale aaye badarwa
Aao sajan more aao
Kale kale aaye badarwa
Aao sajan more aao

Jab sawan ki rut aaye sajanwa
Jiya pe more lagi thesh
Aise mein tum more sawariya
Kahe gaye pardesh
Jab sawan ki rut aaye sajanwa
Jiya pe more lagi thesh
Aise mein tum more sawariya
Kahe gaye pardesh
Kale kale aaye badarwa
Aao sajan more aao
Kale kale aaye badarwa
Aao sajan more aao

Jab panghat pe sakhiyan ke sang
Main paniya bharan ko jau
Chalak pade nainan ki gagri
Ro ro neer bahau
Jab panghat pe sakhiyan ke sang
Main paniya bharan ko jau
Chalak pade nainan ki gagri
Ro ro neer bahau
Kale kale aaye badarwa
Aao sajan more aao
Kale kale aaye badarwa
Aao sajan more aao

bharatlyrics.com

Are hare hare ye khet sajanwa
Kate to phir ug aaye
Are hare hare ye khet sajanwa
Kate to phir ug aaye
Gayi jawani beet ke sajna
Phir na laut ke aaye
Kale kale aaye badarwa
Aao sajan more aao
Kale kale aaye badarwa
Aao sajan more aao.

Kale Kale Aaye Badarwa Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download