Kaunse Dariya Kaunse Lyrics - Kishore Kumar

Kaunse Dariya Kaunse lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Aar Paar (1985). Kaunse Dariya Kaunse Playful soundtrack was composed by Rahul Dev Burman with lyrics written by Anand Bakshi.

Aa ha o ho yeh hey
Kaun se dariya kaun si
Nadiya ki tu rehane waali
Kaun se dariya kaun si
Nadiya ki tu rehane waali
Dekh machhere jaal mein
Mere phas gayi kaun yeh saali
Are phas gayi kaun yeh saali
Kaun se dariya kaun si
Nadiya ki tu rehane waali
Dekh machhere jaal mein
Mere phas gayi kaun yeh saali
Are phas gayi kaun yeh saali

bharatlyrics.com

Bachake bachake bachake
Dariya mein na aag laga
De le kar yeh angdaayi
Dariya mein na aag laga
De le kar yeh angdaayi
Pariyon ke des se koyi pari
Bhaag aayi pari bhaag aayi
Honton andar dabi huyi hai
Pyaar bhari ek gaali
Dekh machhere jaal mein
Mere phas gayi kaun yeh saali
Are phas gayi kaun yeh saali

Dharati pe aa gira gagan se
Koyi chaand ka tukada
Haay re kya baat re
Dharati pe aa gira gagan se
Koyi chaand ka tukada
Apane shehar mein toh nahin
Aisa mukhada
Nahin aisa mukhada
Mukhade pe thoda gussa
Thodi si sharam ki laali
Dekh machhere jaal mein mere
Phas gayi kaun yeh saali
Are phas gayi kaun yeh saali

Bheege badan se choli
Chunari lipati lipati jaaye
Are yeh mar gaya mar gaya re
Bheege badan se choli
Chunari lipati lipati jaaye
Laaj ke maare gori
Simati simati jaaye
Simati simati jaaye
Rang gulaabi ang sharaabi
Chaal badi matwaali
Dekh machhere jaal mein
Mere phas gayi kaun yeh saali
Aah phas gayi kaun yeh saali
Hey kaun se dariya kaun si
Nadiya ki tu rehane waali
Dekh machhere jaal mein
Mere phas gayi kaun yeh saali
Aah phas gayi kaun yeh saali.

Kaunse Dariya Kaunse Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download