Khamosh Hai Khevanhaar Lyrics - Lata Mangeshkar

Khamosh Hai Khevanhaar lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Amar (1954). Khamosh Hai Khevanhaar Sad soundtrack was composed by Naushad Ali with lyrics written by Shakeel Badayuni.

Khamosh hai khewanhar mera naiyya meri dubi jati hai
Khamosh hai khewanhar mera
Khamosh hai khewanhar mera naiyya meri dubi jati hai
Naiyya meri dubi jati hai
Jinda hun magar abb jine kee umid bhi tuti jati hai
Khamosh hai khewanhar mera

Sahil kee tamanna thi mujhko majhadhar me beda ja pahoncha
Jine kee duayen kyun mangu pani toh gale tak aa pahoncha
Dil dhundh raha hai dooniya ko dooniya hai ke chhuti jati hai
Naiyya meri dubi jati hai khamosh hai khewanhar mera

Gham apna juban tak la naa sakun sansar ko munh dikhla naa sakun
Ghutata hai jo dam rukte hai kadam badhte hai kadam rukte hai kadam
Ghutata hai jo dam rukte hai kadam manjil kee taraf bhi ja naa sakun
Bhataka huwa rahi jan ke abb takdir bhi ruthi jati hai
Naiyya meri dubi jati hai khamosh hai khewanhar mera

bharatlyrics.com

Charano me tere hai laj meri sun aaj jara fariyad meri
Too dur nahee majbur nahee nagari hai magar barbad meri
Kya yuhi garibo kee dooniya sansar me luti jati hai
Jinda hun magar abb jine kee umid bhi tuti jati hai
Khamosh hai khewanhar mera.

Khamosh Hai Khevanhaar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download