Kisi Ko Banana Kisi Ko Mitana Lyrics - Talat Mahmood

Kisi Ko Banana Kisi Ko Mitana lyrics, the song is sung by Talat Mahmood from Sheesha (1952). Kisi Ko Banana Kisi Ko Mitana Sad soundtrack was composed by Ghulam Mohammad with lyrics written by Majrooh Sultanpuri.

Kisi ko banana
Kisi ko mitana
Kisi ko banana
Kisi ko mitana
Ajab hai ye duniya
Ajab ye zamaana
Ajab hai ye duniya
Ajab ye zamaana

Hain donon hi insaan
Paley ek chaman mein
Wo hi ek si jaan
Donon ke tan mein
Magar koi odhe hai
Phoolon ki chaadar
Phoolon ki chaadar
Hai mushqil kisi ke
Liye sar chhupana
Ajab hai ye duniya
Ajab ye zamaanaa
Ajab hai ye duniyaa,
Ajab ye zamaanaa

Hain sar par kisi ke
Bahaaron ke saaye
Kisi par balaaon ke
Baadal hain chhaaye
Kisi ke liye sirf
Aansoo ki boonden
Aansoo ki boonden
Kisi ke liye motiyon ka khazaana
Ajab hai ye duniya
Ajab ye zamaana
Ajab hai ye duniya
Ajab ye zamaana

bharatlyrics.com

Koi chain se hai
Tarastaa hai koi
Kisi ke ujadne se bastaa hai koi
Na jaane ye andher kab tak rahega
Kab tak rahega
Zameen ek ki doosre ka thikana
Ajab hai ye duniya
Ajab ye zamaana
Ajab hai ye duniya
Ajab ye zamaana.

Kisi Ko Banana Kisi Ko Mitana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download