Koi Humdum Na Raha Lyrics - Kishore Kumar

Koi Humdum Na Raha lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Jhumroo (1961). The music of Koi Humdum Na Raha Sad track is composed by Kishore Kumar while the lyrics are penned by Majrooh Sultanpuri.

Hey hey hey hey hey hey hey hey
Koi humdum na raha koi sahara na raha

Hum kisi ke na rahe koi hamara na raha
Koi humdum na raha koi sahara na raha

Shaam tanhaayi ki hai aayegi manzil kaise
Shaam tanhaayi ki hai aayegi manzil kaise

Jo mujhe raah deekhaye wohi taara na raha
Koi humdum na raha koi sahara na raha

bharatlyrics.com

Aye nazaaron na hasso mil na sakunga tumse
Aye nazaaron na hasso mil na sakunga tumse

Woh mere ho na sake main bhi tumhara na raha
Koi humdum na raha koi sahara na raha

Kya bataaon main kahan yunhi chala jaata hoon
Kya bataaon main kahan yunhi chala jaata hoon

Jo mujhe phir se bulah le woh ishaara na raha
Koi humdum na raha koi sahara na raha
Hum kisi ke na rahe koi hamara na raha.

Koi Humdum Na Raha Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download