Kya Miliye Aise Logo Se Lyrics - Mohammed Rafi

Kya Miliye Aise Logo Se lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Izzat (1968). The music of Kya Miliye Aise Logo Se Sad track is composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) while the lyrics are penned by Sahir Ludhianvi.

Kya miliye………
Kya miliye aise logo se
Jinaki fithrath chhupi rahe
Kya miliye aise logo se
Jinaki fithrath chhupi rahe
Nakali chehera samne
Aaye asali surath chhupi rahe
Kya miliye aise logo se
Jinaki fithrath chhupi rahe
Nakali chehera samne
Aaye asali surath chhupi rahe

Khud se bhi jo khud ko
Chupaye kya unase pehchan kare
Kya unke daman se lipate
Kya unaka armman kare
Khud se bhi jo khud ko
Chupaye kya unase pehchan kare
Kya unke daman se lipate
Kya unaka armman kare
Jinaki aadhi niyath ubhare
Aadhi niyath chhupi rahe
Nakali chehera samne
Aaye asali surath chhupi rahe

Dildari kaa dong rachakar
Jal bichaye baton kaa
Jiteji kaa rishta kehekar
Sukh dunde kuchh rato kaa
Dildari kaa dong rachakar
Jal bichaye baton kaa
Jiteji kaa rishta kehekar
Sukh dunde kuchh rato kaa
Ruh ki hasrath labh par aaye
Jism ki hasrath chhupi rahe
Nakali chehera samne
Aaye asali surath chhupi rahe

bharatlyrics.com

Jinke julm se dukhi hai
Janta har basti har ganv me
Daya dharam ki bat kare
Woh bait ke sajhi sabhavo me
Jinke julm se dukhi hai
Janta har basti har ganv me
Daya dharam ki bat kare
Woh bait ke sajhi sabhavo me
Daan kaa charcha ghar ghar
Pahunche lut ki daulat chhupi rahe
Nakali chehera samne
Aaye asali surath chhupi rahe

Dekhen inn nakali cheharo
Ki kab tak jai jai kar chale
Ujale kapdo ki teh me
Kab tak kala sansar chale
Dekhen inn nakali cheharo
Ki kab tak jai jai kar chale
Ujale kapdo ki teh me
Kab tak kala sansar chale
Kab tak logo ki najaro
Se chhupi hakikat chhupi rahe
Nakali chehera samne
Aaye asali surath chhupi rahe
Kya miliye aise logo se
Jinaki fithrath chhupi rahe
Nakali chehera samne
Aaye asali surath chhupi rahe.

Kya Miliye Aise Logo Se Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download