Laal Chhadi Maidan Khadi Lyrics - Mohammed Rafi

Laal Chhadi Maidan Khadi lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Janwar (1965). Laal Chhadi Maidan Khadi Romantic soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Shailendra (Shankardas Kesarilal).

Laal chhadi maidaan khadi
kya khub ladi kya khub ladi
Ham dil se gaye ham jaan se gaye
Bas aankh mili aur baat badhi
Laal chhadi maidaan khadi
kya khub ladi kya khub ladi
Ham dil se gaye ham jaan se gaye
Bas aankh mili aur baat badhi
Laal chhadi maidaan khadi

wo tikhe tikhe do nainaa us
shok se aankh milana tha
Dede ke qayamat ko daavat
ek aafat se takrana tha
wo tikhe tikhe do nainaa us
shok se aankh milana tha
Dede ke qayamat ko daavat
ek aafat se takrana tha
Mat puchho ham par kya guzari
Bijali si giri aur dil pe padi
Ham dil se gaye
Ham dil se gaye ham jaan se gaye
Bas aankh mili aur baat badhi
Laal chhadi maidaan khadi

bharatlyrics.com

Ham ko bhi naa jaane kya sujhi
Jaa pahuche us ki toli me
Har baat me us ki tha wo asar
Jo nahi baduk ki goli me
Ham ko bhi naa jaane kya sujhi
Jaa pahuche us ki toli me
Har baat me us ki tha wo asar
Jo nahi baduk ki goli me
Ab kya kijeab kya hogaa
Har ek ghadi mushkil ki ghadi
Ham dil se gaye haay
Ham dil se gaye ham jaan se gaye
Bas aankh mili aur baat badhi
Laal chhadi maidaan khadi

Tan tanakar zaalim ne apna
har tir nishaane par mara
Hai shukr ki ab tak zidaa hun
Mai dil kaa ghaayal bechaaraa
Tan tanakar zaalim ne apna
har tir nishaane par mara
Hai shukr ki ab tak zidaa hun
Mai dil kaa ghaayal bechaaraa
Use dekhake laal dupatte me
Maine naam diya hai laal chhadi
Ham dil se gaye haay
Ham dil se gaye ham jaan se gaye
Bas aankh mili aur baat badhi
Laal chhadi maidaan khadi.

Laal Chhadi Maidan Khadi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download