Maasum Chehara Yeh Kaatil Adaaye Lyrics - Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Maasum Chehara Yeh Kaatil Adaaye lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi from Dil Tera Diwana (1962). Maasum Chehara Yeh Kaatil Adaaye Romantic soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Hasrat Jaipuri.

Maasum chehara yeh kaatil adaaye
Ke bemaut maare gaye hum bichaare
Saagar se gehari tumhari nigaahe dubo
De na hamako yeh laakar kanaare
Saagar se gehari

Huwa samna kya ke sau tir khaye
Ajab tir the woh najar bhi na aaye
Huwa samna kya ke sau tir khaye
Ajab tir the woh najar bhi na aaye
Kya hum pe gujari tumhe kya bataaye
Ke bemaut maare gaye hum bechaare
Saagar se gehari tumhari nigaahe dubo
De na hamako yeh laakar kanaare
Saagar se gehari

bharatlyrics.com

Mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
Ke abb raahon ki dhul hai dono aalam
Mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
Ke abb raahon ki dhul hai dono aalam
Magar keh rahi hai
Yeh dil ki sadaaye de na
Hamako yeh laakar kanaare
Maasum chehara yeh kaatil adaaye
Ke bemaut maare gaye hum bichaare
Maasum chehara

Diya jakhm tumne bada khubsurat
Liya daag hamne bada khubsurat
Diya jakhm tumne bada khubsurat
Liya daag hamne bada khubsurat
Salaamat rahein aapki yeh jafaayein
Ke bemaut maare gaye hum bichaare
Saagar se gehari tumhari nigaahe dubo
De na hamako yeh laakar kanaare
Maasum chehara.

Maasum Chehara Yeh Kaatil Adaaye Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download