Main Apni Zindagi Lyrics - Kumar Sanu

Main Apni Zindagi lyrics, the song is sung by Kumar Sanu from Andaz Tera Mastana (1994). The music of Main Apni Zindagi Sad track is composed by Anand Shrivastav, Milind Shrivastav while the lyrics are penned by Sameer.

Main apni zindagi bhi tujh pe jo lutaunga
Main apni zindagi bhi tujh pe jo lutaunga
Tere ehsaano ka badala chuka na paaunga
Main apni zindagi bhi tujh pe jo lutaunga
Tere ehsaano ka badala chuka na paaunga

bharatlyrics.com

Adhure khaab ke jaisi thi harkhushi apni
Dhali thi ashqo ke rang mein har hasi apni
Kise sunate bhala jaake bebasi apni
Main teri pooja mein jo umra bhi beetaunga
Main teri pooja mein jo umra bhi beetaunga
Tere ehsaano ka badala chuka na paaunga

Mere jigar ka hi tukada hain ye bhaai mera
Chamakte chaand ke jaisa hai ye mukhada tera
Hamare aas paas ab nahi hain andhera
Gagan se taare bhi jo tod ke main laaunga
Gagan se taare bhi jo tod ke main laaunga
Tere ehsaano ka badala chuka na paaunga

Main apne pyaar ke saaye mein tujho paalunga
Meri nigaho ka saya bhi tujhpe daalunga
Ghamo ki dhoop se sada sambhalunga
Jo farz maata pita ka bhi main nibhaunga
Jo farz maata pita ka bhi main nibhaunga
Tere ehsaano ka badala chuka na paaunga
Main apni zindagi bhi tujh pe jo lutaunga
Tere ehsaano ka badala chuka na paaunga.

Main Apni Zindagi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download