Mehfil Mein Mujhko lyrics, the song is sung by Anupama Deshpande, Zahid Nazan from Naag Nagin (1989). The music of Mehfil Mein Mujhko Qawwali track is composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) while the lyrics are penned by Mursheed Hallauri.
Dil ki duniya mein
Khushi leke wafa aa jaaye
Aaj tu samne aaye
To maza aa jaaye
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Kitno ke dil ko dil ko dil ko
Kitno ke dil ko aaha dil ko
Kitno ke dil ko khush kiya
Kitno ko jala diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Humne jo apne raaz se
Parda yaha utha diya
Humne jo apne raaz se
Parda yaha utha diya
Samjho ke aaj samjho samjho
Samjho ke aaj ha ha samjho
Samjho ke aaj maut ko
Apna pata bata diya
Humne jo apne raaz se
Parda yaha utha diya
Luta hai tumne ba khuda
Humko ajib naz se
Wakif na ho sake kabhi
Hum to tumhare raaz se
Khushiyo ke bhikh aye
Sanam jholi mein
Meri daal do
Tumko kasam hain pyar ki
Yeh zindagi sawar do
Ilah apne pyar ka
Ab de do mujhko asra
Tumne diya hain darde dil
Iski tarah tumhi dawa
Katra samjh ke aankh se
Tumne gira diya
Phir bhi tumhare pyar ko
Iss dil ne asra diya
Phir bhi tumhare
Phir bhi phir bhi
Phir bhi ha ha phir bhi
Phir bhi tumhare pyar ko
Iss dil ne asra diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Bewajah apni jaan kyu
Kurban karti ho bhala
Duniya mein dil lagane ka
Anjam hota hai bura
Iss raah mein kisi ko bhi
Manzil kabhi mili nahin
Duniya mein aashiqo ke to
Dil ki kali khili nahin
Ulfat ki zindagi hai kya
Tumko nahin hai kuch khabar
Aa jao hosh mein zara
Dushwar hain yeh rahgujaar
Jab bhi kisi ke pyar ko
In aankho mein basa diya
Bijli falak se gir padi
Dil ka chaman jala diya
Bijli falak se falak falak se
Bijli falak se ha ha falak se
Bijli falak se gir padi
Dil ka chaman jala diya
Humne jo apne raaz se
Parda yaha utha diya
Humne jo apne raaz se
Parda yaha utha diya
Meri khata to kuch nahin
Kyu dil dukha rahe ho tum
Kya baat hain jo iss tarah
Nazre phira rahe ho tum
Deewani ho gayi hoon main
Dilbar tumhare naam ki
Rehti nahin hai kuch khabar
Ab mujhko subah shyam ki
Tere bagair neend bhi
Aankhon mein ab to aayegi
Nagin si kaali raat yeh
Das das ke mujhko jayegi
Main kya kahu ke haale dil
Jab khak mein mila diya
Achha wafa ka jaane mann
Tumne mujhe sila diya
Achha wafa ka achha achha
Achha wafa ka ha ha achha
Achha wafa ka jaane mann
Tumne mujhe sila diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
bharatlyrics.com
Nadan mat bana karo
Chhodo hamara rasta
Isme fakat bhalai hai
Rakho na humse wasta
Hoga khuda ke samne
Mera tumhara faisla
Mehman do ghadi ka hain
Yeh zindagi ka silsila
Manjar tamam ghumta
Hai ab meri nigah mein
Kitno ki jaan chali gayi
Hai iss wafa ki raah mein
Kadmo mein jab hasin ke
Aashiq ne sar jhuka diya
Rahe wafa mein zindagi
Bas us ne mita diya
Rahe wafa mein
Wafa wafa mein
Rahe wafa mein
Ha ha wafa mein
Rahe wafa mein zindagi
Bas us ne mita diya
Humne jo apne raaz se
Parda yaha utha diya
Mahfil mein mujhko dekh kar
Tumne jo muskura diya
Humne jo apne raaz se
Parda yaha utha diya.