Mera Gaon Jane Kahan Kho Gaya Hai Lyrics - Anuradha Paudwal, Chandan Dass

Mera Gaon Jane Kahan Kho Gaya Hai lyrics, the song is sung by Anuradha Paudwal, Chandan Dass from Saadgi (1995). The music of Mera Gaon Jane Kahan Kho Gaya Hai Ghazal track is composed by Chandan Dass while the lyrics are penned by .

Ye sehere tamanna ameero ki duniya
Ye khudgarz aur bezameero ki duniya
Yahan sukh mujhe do jahan ka milla hain
Mera gaon jane kahan kho gaya hai
Mera gaon jane kahan kho gaya hai

Ye sehere tamanna ameero ki duniya
Ye khudgarz aur bezameero ki duniya
Yahan sukh mujhe do jahan ka milla hain
Mera gaon jane kahan kho gaya hai
Mera gaon jane kahan kho gaya hai

Woh gaaon ke bachhe woh bachho ki toli
Woh bholi woh masum chahat ki boli
Woh gaaon ke bachhe woh bachho ki toli
Woh bholi woh masum chahat ki boli
Woh gulli woh danda woh ladna woh jagdna
Magar hath phir dosti se pakdna
Woh manzar har ek yaad phir aa raha hain
Mera gaon jane kahan kho gaya hai
Mera gaon jane kahan kho gaya hai

Woh chopaal woh aalha udal ke kisse
Woh geeton ki ganga woh saawan ke jule
Woh chopaal woh aalha udal ke kisse
Woh geeton ki ganga woh saawan ke jule
Woh lut ta huaa pyaar woh zindagani
Hain mere liye bhuli bisari kahani
Chhalakti hain aankhe ye dil ro raha hain
Mera gaon jane kahan kho gaya hai
Mera gaon jane kahan kho gaya hai

bharatlyrics.com

Ye chandi ye sona ye heere ye moti
Thi anmol in sab se ek sukhi roti
Ye chandi ye sona ye heere ye moti
Thi anmol in sab se ek sukhi roti
Jo maine gawaye na koi gawaye
Ke ghar chhod koi na pardesh aaye
Milega na ab woh jo pichhe luta hain
Mera gaon jane kahan kho gaya hai
Mera gaon jane kahan kho gaya hai

Ye sehere tamanna ameero ki duniya
Ye khudgarz aur bezameero ki duniya
Yahan sukh mujhe do jahan ka milla hain
Mera gaon jane kahan kho gaya hai
Mera gaon jane kahan kho gaya hai.

Mera Gaon Jane Kahan Kho Gaya Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download