Mere Daman Ki Thandi Lyrics - Asha Bhosle

Mere Daman Ki Thandi lyrics, the song is sung by Asha Bhosle from Bharat Ke Shaheed (1972). Mere Daman Ki Thandi Mujra soundtrack was composed by Prem Dhawan with lyrics written by Madan Bharati.

Mere daman ki
Thandi hawa chahiye
Ya najro ki katil ada chahiye
Boliye aapko
Aaj kya chahiye
Boliye aapko
Aaj kya chahiye

Mere daman ki
Thandi hawa chahiye
Ya najro ki katil ada chahiye
Boliye aapko
Aaj kya chahiye
Boliye aapko
Aaj kya chahiye

Julf bikhre to sham ho jaye
Aankh jhukte salam ho jaye
Julf bikhre to sham ho jaye
Ye sokhiya ye sharat
Jo jidd pe aa jaye
Jamane walo ka
Jina haram ho jaye

bharatlyrics.com

Wafa bhi khubsurat hai
Jafa bhi khubsurat hai
Adaye to adaye hai
Haya bhi khubsurat hai
Haya bhi khubsurat hai

Mere sarkar is dar ki
Kaza bhi khubsurat hai
Sharam kis bat ki hai
Na sharmaiye boliye na
Boliye aapko
Aaj kya chahiye
Boliye aapko
Aaj kya chahiye

Log kahte hai
Mai kayamat hu
Beraham hu
Mai bemurbbat hu
Log kahte hai
Mai kayamat hu
Na dekhiye mujhe
Nafrat bhari nigaho se
Ke mai bhi dard me
Dubi hui sharafat hu
Khushi bhi mai lutati hu
Mai ninde bhi udati hu
Jaga ke dard sine me
Dawa bhi mai pilati hu
Dawa bhi mai pilati hu
Huzur aap ek hath
Se daualt lutate hai
Magar bhari mahfil se
Mai dono hath
Se dil lutati hai
Ye mujhe lut
Lijiye ya lut jaiye
Boliye boliye na
Boliye aapko
Aaj kya chahiye
Boliye aapko
Aaj kya chahiye
Mere daman ki
Thandi hawa chahiye
Ya najaro ki
Katil ada chahiye
Boliye aapko.

Mere Daman Ki Thandi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download