Mere Saiyaan Ne Diye Lyrics - Asha Bhosle

Mere Saiyaan Ne Diye lyrics, the song is sung by Asha Bhosle from Garma Garam (1957). Mere Saiyaan Ne Diye Happy soundtrack was composed by Vinod with lyrics written by Pyarelal Shrivasta (P. L. Santoshi).

Mere saiyaan ne diye
Mujhe laakh laakh gham
Maine saiyaan ko di hai
Dil ki khushi
Haaye dil ki khushi
Mere saiyaan ne diye
Mujhe laakh laakh gham

Saiyaan to chain se
Mehlon mein soye
Saiyaan to chain se
Mehlon mein soye
Dil ye hamaara gali gali roye
Saiyaan ke aangan mein
Mele khushi ke haaye
Saiyaan ke aangan mein
Mele khushi ke
Meri duniya luti
Mere saiyaan ne diye
Mujhe laakh laakh gham
Maine saiyaan ko di hai
Dil ki khushi
Haaye dil ki khushi
Mere saiyaan ne diye
Mujhe laakh laakh gham

bharatlyrics.com

Saiyaan to bhool gaye
Pyaar ki qasmein
Saiyaan to bhool gaye
Pyaar ki qasmein
Main nahin bhooli re
Preet ki rasmen
Main nahin bhooli re
Preet ki rasmen
Saiyaan ne pherin hain
Mujhse nigaahen haaye
Saiyaan ne pherin hain
Mujhse nigaahen
Meri lagan hai lagi
Mere saiyaan ne diye
Mujhe laakh laakh gham

Salaamat rahe wo
Sataaya hai jisne
Salaamat rahe wo
Sataaya hai jisne
Mere is dil ko jhukaaya hai jisne
Uske liye hai laakhon duaayen haaye
Uske liye hai laakhon duaayen
Jiske liye main miti
Mere saiyaan ne diye
Mujhe laakh laakh gham
Maine saiyaan ko di hai
Dil ki khushi
Haaye dil ki khushi
Mere saiyaan ne diye
Mujhe laakh laaaakh gham.

Mere Saiyaan Ne Diye Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download