Mohabbat Ek Shola Hai Lyrics - Lata Mangeshkar

Mohabbat Ek Shola Hai lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Aaghosh (1953). The music of Mohabbat Ek Shola Hai Sad track is composed by Roshanlal Nagrath (Roshan) while the lyrics are penned by Kaif Irfani.

Mohabbat ek shola hai,
Bachaa daaman zamaane
Bachaa daaman zamaane
Huye ham khaak yoon jalkar
Jale koi to jaane
Bachaa daaman zamaane

Nahin maaloom kya manzoor hai
Taqdeer ko meri, taqdeer ko meri
Nahin maaloom kya manzoor hai
Taqdeer ko meri, taqdeer ko meri
Kate hain aaj tak rote
Mere saawan suhaane
Bachaa daaman zamaane

Bahe aansoo hansi qismat
Lute armaan bhi mere
Armaan bhi mere
Bahe aansoo hansi qismat
Lute armaan bhi mere
Armaan bhi mere
Rahe fariyaad hi bankar
Mere rangeen taraane
Bachaa daaman zamaane

bharatlyrics.com

Kisi se dil lagaake ham
Yahaan barbaad ho gaye
Barbaad ho gaye
Kisi se dil lagaake ham
Barbaad ho gaye
Barbaad ho gaye
Ye jaltaa saa jigar apnaa,
Ye jalte se fasaane
Bachaa daaman zamaane.

Mohabbat Ek Shola Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download