Naseeb Mein Jisko Jo Lyrics - Mohammed Rafi

Naseeb Mein Jisko Jo lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Do Badan (1966). Naseeb Mein Jisko Jo Sad soundtrack was composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi) with lyrics written by Shakeel Badayuni.

Naseeb men jis ke jo likha tha
Woh teri mahafil men kaam aaya
Naseeb men jis ke jo likha tha
Woh teri mahafil men kaam aaya
Kisi ke hisse men pyaas aai
Kisi ke hisse men jaam aaya
Naseeb men jis ke jo likha tha

Main ik fasaana hun bekasi ka
Ye haal hai meri zindagi ka
Main ik fasaana hun bekasi ka
Ye haal hai meri zindagi ka
Ye haal hai meri zindagi ka
Na husn hi mujh ko raas aaya
Na ishq hi mere kaam aaya
Naseeb men jis ke jo likha tha

Badal gai teri manzilen bhi
Bichhad gaya main bhi kaaravaan se
Badal gai teri manzilen bhi
Bichhad gaya main bhi kaaravaan se
Bichhad gaya main bhi kaaravaan se
Teri muhabbat ke raaste men
Na jaane ye kya makaam aaya
Naseeb men jis ke jo likha tha

bharatlyrics.com

Tujhe bhulaane ki koshishen bhi
Tamaam naakaam ho gai hain
Tujhe bhulaane ki koshishen bhi
Tamaam naakaam ho gai hain
Tamaam naakaam ho gai hain
Kisi ne ziqr-e-wafa kiya jab
Zubaan pe tera hi naam aaya
Naseeb men jis ke jo likha tha
Woh teri mahafil men kaam aaya
Kisi ke hisse men pyaas aai
Kisi ke hisse men jaam aaya
Naseeb men jis ke jo likha tha.

Naseeb Mein Jisko Jo Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download