Nazar Mein Bijli Badan Mein Sholey Lyrics - Mahendra Kapoor

Nazar Mein Bijli Badan Mein Sholey lyrics, the song is sung by Mahendra Kapoor from Puraskar (1970). Nazar Mein Bijli Badan Mein Sholey Playful soundtrack was composed by Rahul Dev Burman with lyrics written by Shamsul Huda Bihari (S. H. Bihari).

Nazar mein bijli
Badan mein shole
Mila hai dilbar
Nayi ada ka
Sitam hai zaalim
Ka muskurana
Hai is ka ghussa
Ghazab khuda ka
Nazar mein bijli
Badan mein shole
Mila hai dilbar
Nayi ada ka
Sitam hai zaalim
Ka muskurana
Hai is ka ghussa
Ghazab khuda ka

Tumhaari tamanna mein
Ae jaan-e-jaana
Main nafrat ke yeh ghoont
Peeta rahoonga
Tumhaari qasam hai ke
Main zindagi bhar
Yeh hi aarzoo le ke
Jeeta rahoonga
Tumhaari yeh zulfon ko
Chhoo ke hi aaye
Kabhi to koyi jhonka
Idhar bhi hawa ka
Nazar mein bijli
Badan mein shole
Mila hai dilbar
Nayi ada ka
Sitam hai zaalim
Ka muskurana
Hai is ka ghussa
Ghazab khuda ka

bharatlyrics.com

Agar yeh jawaani ki
Shokhi na hogi
To kis ko yeh duniya
Qayaamat kahegi
Kisi ke mitaaye se
Kab mit saki hai
Mohabbat rahi hai
Mohabbat rahegi
Bala se yeh adaayen
Meri jaan le len
Mujhe to in adaaon se
Pyaar hai bala ka
Nazar mein bijli
Badan mein shole
Mila hai dilbar
Nayi ada ka
Sitam hai zaalim
Ka muskuraana
Hai is ka ghussa
Ghazab khuda ka
Nazar mein bijli
Badan mein shole
Mila hai dilbar
Nayi ada ka
Sitam hai zaalim
Ka muskurana
Hai is ka ghussa
Ghazab khuda ka.

Nazar Mein Bijli Badan Mein Sholey Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *