Nazar Nawaz Nazaron Mein Lyrics - Mahendra Kapoor

Nazar Nawaz Nazaron Mein lyrics, the song is sung by Mahendra Kapoor from Sushila (1963). Nazar Nawaz Nazaron Mein Love soundtrack was composed by C. Arjun with lyrics written by Jan Nisar Akhtar.

Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main
Inhi hasin baharo mein
Kho gaya hu main
Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main

bharatlyrics.com

Har ek phool mahekta huwa
Sharara hai
Har ek jarra chamakta huwa
Sitaara hai
Inhi zamin pe sitaro mein
Kho gaya hu main
Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main

Kabhi hawa mein lagi
Aur bhi laga di hai
Kabhi ghata ne tadap kar
Mujhe sada di hai
Kabhi nadi ki pukaro mein
Kho gaya hu main
Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main

Har ek cheez mein ae husn
Tujh ko dhunda hai
Tujh hi ko pyaar kiya
Tujh hi ko pooja hai
Teri hi raah gujaro mein
Kho gaya hu mein
Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main.

Nazar Nawaz Nazaron Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download