O Jaane Wale Chand Lyrics - Mohammed Rafi

O Jaane Wale Chand lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Bazaar (1949). The music of O Jaane Wale Chand Playful track is composed by Shyam Sunder Premi (Shyam Sunder) while the lyrics are penned by Qamar Jalalabadi.

O jaane wale chand
Zara muskura ke ja
Zara muskura
Zara muskura ke ja
Zalim zara nazar se
Nazar to milake ja
O jaane wale chand
Zara muskura ke ja

bharatlyrics.com

Aaya tha
Aaya tha koi mast
Jawani liye hue
Aaya tha koi mast
Jawani liye hue
Raftar mein nadi ki
Rawani liye hue
Aankho mein saukhiyo
Ki kahani liye hue
Kehdo use ke ek jhalak
To dikha ke ja
O jaane wale chand
Zara muskura ke ja
Zara muskura
Zara muskura ke ja

Daulat hai jinke pas
Wo kitne hai khusnasib
Ham door door aapke
Wo aapke kareeb
Mana ke hum gareeb hai
Dil to nahi gareeb
Daulat to aazmayi hai
Dil aazma ke ja
O jaane wale chand
Zara muskura ke ja
Zara muskura
Zara muskura ke ja

Bhagwan kuch to
Pyar sikhaye
Meri tarah bhagwan
Bhagwan tujhko
Pyar sikhaye meri
Dil mein tere bhi aag
Lagaye meri tarah
Raato ko tujhko neend na
Aaye meri tarah
Ya dard liye ja ya mera
Gham mitake ja
O jaane wale chand
Zara muskura ke ja
Zara muskura
Zara muskura ke ja.

O Jaane Wale Chand Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download