Popat Hu Main Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Popat Hu Main lyrics, the song is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Raaz (1967). Popat Hu Main Happy soundtrack was composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah with lyrics written by Noor Dewasi.

Popat hu main pyar ka
Aashiq hu sarkar ka
Chhuti hai har baat ki
Aur din bhi hai itwar ka
Popat hu main pyar ka
Aashiq hu sarkar ka
Chhuti hai har baat ki
Aur din bhi hai itwar ka
Popat hu main pyar ka

Aaj gaya to kal som hai
Som bada dukh kari
Som bada dukh kari
Magal ko hum mil na sakenge
Mangal mujh pe bhari
Haye mangal mujhpe bhari
Pyar ki baate
Are pyar ki baate aaj hi karle
Pata nahi budhwar ka
Popat hu main pyar ka
Aashiq hu sarkar ka
Chhuti hai har baat ki
Aur din bhi hai itwar ka
Popat hu main pyar ka

bharatlyrics.com

Guru sukar ke wade chhodo
Aaj pe karlo bharosha
Aaj pe karlo bharosha
Are chalo kisi hotel mein khale
Pyar ka itli dhosa haye
Pyar ka itli dhosa
Sade sati
Sade sati shani gaya
Ab ghar kya rishte dar ka
Popat hu main pyar ka
Aashiq hu sarkar ka
Chhuti hai har baat ki
Aur din bhi hai itwar ka
Popat hu main pyar ka

Yahi pyar puja ka din hai
Naam hai jiska sunday
Naam hai jiska sunday
Apni kimati sat dino mein
Give mein only one day please
Dedo mujhe one day
Are kasam khuda ki
Hafte bhar se pyasa hu didar ka
Popat hu main pyar ka.

Popat Hu Main Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download