Raat Ghataye Jadoo Khushboo Lyrics - Jagjit Singh

Raat Ghataye Jadoo Khushboo lyrics, the song is sung by Jagjit Singh from Tejasvini (1994). The music of Raat Ghataye Jadoo Khushboo Ghazal track is composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) while the lyrics are penned by Mumtaz Rashid.

Raat ghataye jadoo khushboo
Jiski zulfon ke paigaam
Raat ghataye jadoo khushboo
Jiski zulfon ke paigaam
Dil ke baras par dil ke baras par
Dil ke varakh par dhoondh raha hoon
Muskurata chehre ka naap

bharatlyrics.com

Tune pehle dekha thaa
Ya maine ab ye yaad nahi
Tune pehle dekha thaa
Ya maine ab ye yaad nahi
Soch raha hoon kis ko doon main
Dil ki tabaahi ka ilzaam
Soch raha hoon kis ko doon main
Dil ki tabaahi ka ilzaam

Bik jaaye baazar mein hum tum
Lekin us sey kya hoga
Bik jaaye baazar mein hum tum
Lekin us sey kya hoga
Jis keemat par tum milti ho
Utane kahaan hai apne daam
Jis keemat par tum milti ho
Utane kahaan hai apne daam
Tere mere beech mein kitani
Deeware hai phir bhi toh
Tere mere beech mein kitani
Deeware hai phir bhi toh
Meri aankhein sun leti hai
Teri aankhon ka paigaam
Meri aankhein sun leti hai
Teri aankhon ka paigaam

Hum bhi kuch naadan they yaaro
Kitane khwaab saza baithey
Hum bhi kuch naadan they yaaro
Kitane khwaab saza baithey
Waqt bhala kya deta humko
Waqt ko apne kaam se kaam
Waqt bhala kya deta humko
Waqt ko apne kaam se kaam

Jalti bujhati yaadein lekar
Jab usse milati hai shaam
Jalti bujhati yaadein lekar
Jab mujhse milati hai shaam
Aksar dil ki deewaron par
Likha deta hoon tera naam
Raat ghataye jadoo khushboo
Jiski zulfon ke paigaam
Dil ke baras par dil ke baras par
Dil ke varakh par dhoondh raha hoon
Muskurata chehre ka naap
Raat ghataye jadoo khushboo
Jiski zulfon ke paigaam.

Raat Ghataye Jadoo Khushboo Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download