Rishte Toote Bandhon Toote Lyrics - Pankaj Udhas

Rishte Toote Bandhon Toote lyrics, the song is sung by Pankaj Udhas from Hasrat (2005). The music of Rishte Toote Bandhon Toote Ghazal track is composed by Nikhil, Vinay while the lyrics are penned by Praveen Bhardwaj.

Rishte toote bandhon toote
Sajne wale darpan toote
Rishte toote bandhon toote
Sajne wale darpan toote
Sab kuchh tod ke beshak
Jana lekin pehle yeh toh batana
Jo pal bite sath tumhare
Unase pichha kaise chhute

Rishte toote bandhon toote
Sajne wale darpan toote
Sab kuchh tod ke beshak
Jana lekin pehle yeh toh batana
Jo pal bite sath tumhare
Unase pichha kaise chhute
Rishte toote bandhon toote
Sajne wale darpan toote

bharatlyrics.com

Haste huye rehte the
Ham rote huye jine lage
Khushiya huyi mann se bida
Gham me tere pine lage
Log karenge kya kya bate
Yaad hain sawan ki barsate
Jo pal bhige sath tumhare
Unse pichha kaise chhute
Rishte toote bandhon toote
Sajne wale darpan toote

Kehati hain sham yeh kya
Huwa nagma koyi gate nahi
Gulshan ne bhi puchha mujhse
Abb tum dono aate nahi
Mushkil hain kitna yeh samjhana
Toote dil kaa dard chupana
Jo pal mehke sath tumhare
Unaki khushbu kaise chhute
Rishte toote bandhon toote
Sajne wale darpan toote

Sab kuchh tod ke beshak
Jana lekin pehle yeh toh batana
Jo pal bite sath tumhare
Unse pichha kaise chhute
Rishte toote bandhon toote
Sajne wale darpan toote
Sab kuchh tod ke beshak
Jana lekin pehle yeh toh batana
Jo pal bite sath tumhare
Unse pichha kaise chhute.

Rishte Toote Bandhon Toote Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download