Rukh Se Parda Hata De Zara Saqiya Lyrics - Anup Jalota

Rukh Se Parda Hata De Zara Saqiya lyrics, the song is sung by Anup Jalota from An Evening With Anup Jalota (1982). Rukh Se Parda Hata De Zara Saqiya Ghazal soundtrack was composed by Anup Jalota with lyrics written by .

Rukh se parda hata de zara saqiya
Rukh se parda hata de zara saqiya
Bas abhi range mehfil badal jaayega
Jo behosh hain hosh mein aayega
Jo behosh hain hosh mein aayega
Giranewala jo hain woh sambhal jayega
Rukh se parda hata de

Tu tassali na do sirf baithe raho
Waqt kuchh mere marne ka tal jaayega
Tu tassali na do sirf baithe raho
Waqt kuchh mere marne ka tal jaayega
Kyaa ye kam hain masiha ke hone hi se
Kyaa ye kam hain masiha ke hone hi se
Moat ka bhi irada badal jaayega
Rukh se parda hata de

Phool kuchh is tarah tode e baagbaan
Shakh hilane na paaye na aawaz ho
Phool kuchh is tarah tode e baagbaan
Shakh hilane na paaye na aawaz ho
Warna ghulshan mein phir na bahar aayegi
Warna ghulshan mein phir na bahar aayegi
Har kali ka kaleja dahel jaayega
Rukh se parda hata de

bharatlyrics.com

Mera daaman to jal hi chuka hain magar
Aancha unn par bhi aaye ghawara nahi
Mera daaman to jal hi chuka hain magar
Aancha unn par bhi aaye ghawara nahi
Mere aansu na pochho khuda ke liye
Mere aansu na pochho khuda ke liye
Warna aanchal tumhara bhi jal jaayega
Rukh se parda hata de

Teer ki jaan hain dil dil ki jaan teer hain
Teer se yun na khelo khuda ke liye
Teer ki jaan hain dil dil ki jaan teer hain
Teer se yun na khelo khuda ke liye
Teer khincha to dil hi nikal aayega
Teer khincha to dil hi nikal aayega
Dil jo nikala to dam bhi nikal jaayega
Rukh se parda hata de.

Rukh Se Parda Hata De Zara Saqiya Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download