Sachcha Hai Gar Pyaar Mera Lyrics - Mohammed Rafi

Sachcha Hai Gar Pyaar Mera lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Jhuk Gaya Aasman (1968). Sachcha Hai Gar Pyaar Mera Playful soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Shailendra (Shankardas Kesarilal).

Sachcha hai gar pyaar mera sanam
Hoge jahaan tum wahaan honge ham
Yeh dhadkanen bhi agar jaayen thham
Jab bhi pukaaro sadaa denge ham

bharatlyrics.com

Yeh ajab sa raaz hai
Yeh ajeeb baat hai
Yeh ajab sa raaz hai
Yeh ajeeb baat hai
Apna pyaar tab se hai
Jab se kaaynaat hai
Priyaa priyaa
Mar ke bhi yeh pyaar hogaa na kam
Hoge jahaan tum wahaan honge ham hoy oye
Sachcha hai gar pyaar mera sanam
Hoge jahaan tum wahaan honge ham

Jhoomne lagi fizaa
Geet gaa utthhaa gagan
Jhoomne lagi fizaa
Geet gaa utthhaa gagan
Aur hawaaon ne kahaa
Phir kahin pe hai milan
Priyaa eh priyaa
Milenge do dil kahin yeh qasam
Hoge jahaan tum wahaan honge ham
Sachcha hai gar pyaar mera sanam
Hoge jahaan tum wahaan honge ham

Kyun na saat aasmaan
Aayen apni raah mein
Kyun na saat aasmaan
Aayen apni raah mein
Saaya ban ke saathh hoon
Main tumhaari chaah mein
Mar ke rukenge na ab yeh qadam
Hoge jahaan tum wahaan honge ham
Sachcha hai gar pyaar mera sanam
Hoge jahaan tum wahaan honge ham.

Sachcha Hai Gar Pyaar Mera Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download