Sharminda Jis Se Chand Hai Lyrics - Pankaj Udhas

Sharminda Jis Se Chand Hai lyrics, the song is sung by Pankaj Udhas from Aashiyan (1992). Sharminda Jis Se Chand Hai Ghazal, Love soundtrack was composed by Lalit Sen, Parvez Akhtar with lyrics written by Payam Sayeedi.

Sharminda jis se chand hai
Sooraj hain gehen mein
Aisa haseen phool hain
Ik mere chaman mein
Ik mere chaman mein
Sharminda jis se chand hai
Sooraj hain gahen mein
Aisa haseen phool hain
Ik mere chaman mein
Ik mere chaman mein

Jalwo se jis ke roshani
Taaro ko mili hain
Jalwo se jis ke roshani
Taaro ko mili hain
Shaada bhi jiske dam se
Baharo ko mili hain
Baharo ko mili hain
Raheta hoon sada uski lagan mein
Aisa haseen phool hain
Ik mere chaman mein
Ik mere chaman mein

bharatlyrics.com

Main jab bhi uski baahon pe
Sar rakha ke so gaya
Main jab bhi uski baahon pe
Sar rakha ke so gaya
Duniya ke ranjho gham se
Bahut door ho gaya
Bahut door ho gaya
Mehsoos huaa chain mujhe
Gham ki chubhan mein
Aisa haseen phool hain
Ik mere chaman mein
Ik mere chaman mein

Mehboobe zindagi hain woh
Tasveer pyaar ki
Mehboobe zindagi hain woh
Tasveer pyaar ki
Paayi mere khaabo ne
Taabir pyar ki
Taabir pyar ki
Chahat ke saare range mile
Meri dulhan mein
Aisa haseen phool hain
Ik mere chaman mein
Ik mere chaman mein

Sharminda jis se chand hai
Sooraj hain gehen mein
Aisa haseen phool hain
Ik mere chaman mein
Ik mere chaman mein
Ik mere chaman mein.

Sharminda Jis Se Chand Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download