Tera Hai Jahaan Saara Lyrics - Hemant Kumar

Tera Hai Jahaan Saara lyrics, the song is sung by Hemant Kumar from Uski Kahani (1966). The music of Tera Hai Jahaan Saara Ghazal track is composed by Kanu Roy while the lyrics are penned by Kaifi Azmi.

Tera hai jahaan saara
Apna magar koi nahin hai
Tera hai jahaan saara
Apna magar koi nahin hai
Jaana hai kahin tujhe
Pyaasa kahin se kahin hai
Tera hai jahaan saara
Apna magar koi nahin hai

bharatlyrics.com

Toone to kaha nahin dil ka fasaana
Phir bhi hai kuchh bujha bujha saara zamaana
Toone to kaha nahin dil ka fasaana
Phir bhi hai kuchh bujha bujha saara zamaana
Jiska kal thha
Aaj usi ka yaqeen hai
Tera hai jahaan saara
Apna magar koi nahin hai

Dil ko tere sukoon kabhi aaya na aaye ae
Aankhon mein leke gham wahaan jaaye na jaaye ae
Dil ko tere sukoon kabhi aaya na aaye ae
Aankhon mein leke gham wahaan jaaye na jaaye ae
Uthha hai jahaan se tu
Tera thhikaana wahi hai
Tera hai jahaan saara
Apna magar koi nahin hai
Jaana hai kahin tujhe
Jaata kahin se kahin hai
Tera hai jahaan saara
Apna magar koi nahin hai.

Tera Hai Jahaan Saara Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download