Teri Duniya Mein Nahin Koi Lyrics - Lata Mangeshkar

Teri Duniya Mein Nahin Koi lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Barood (1960). Teri Duniya Mein Nahin Koi Pray soundtrack was composed by Mohammed Zahur Khayyam with lyrics written by Hasrat Jaipuri.

Teri dooniya me nahi
Koyi hamara apna
Besaharo ko zara de de
Sahara apna de de sahara apna

Teri dooniya me nahi
Koyi hamara apna
Besaharo ko zara de de
Sahara apna de de sahara apna
Dil ke manjar me nigaho
Me ujale hai tere
Teri godi ke ye bacche
Hai jo pale hai tere
Tu hi himmat de inhe
Chahane wale hain tere
Tu hi apna le hame gate
Hain teri rachana

Besaharo ko zara de de
Sahara apna de de sahara apna
Roj lete hain tera
Naam jiye jate hain
Pyas lagati hai toh
Aansu hi piye jate hain
Ham bure hi sahi lekin
Tere kehlate hain
Tu daya ki hai nadi
Tu hai kinara apna

Besaharo ko zara de de
Sahara apna de de sahara apna
Rup lakho hain tere hu
Koyi majbur nahi
Koyi jarra nahi jisme
Ke tera nur nahi
Apne bando se kisi hal
Me tu dur nahi tu dur nahi
Tune har kam jo bigada
Woh sanwaaa apna
Besaharo ko zara de de sahara
Apna de de sahara apna

bharatlyrics.com

Aaye tufan jo garibo
Ko mitane ke liye
Aaye tufan aaye tufan
Jo garibo ko mitane ke liye
Aaye mushkil jo yatimo
Ko satane ke liye
Apne bachcho ko tu aa
Jana bachane ke liye
Apne bachcho ko tu aa
Jana bachane ke liye
Bachane ke liye bachane ke liye
Apne bachcho ko tu
Aana bachane ke liye
Apne bachcho ko tu
Aana bachane ke liye.

Teri Duniya Mein Nahin Koi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download