Tujhe Chand Kahu Lyrics - Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Tujhe Chand Kahu lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Sunheri Nagin (1963). The music of Tujhe Chand Kahu Romantic track is composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah while the lyrics are penned by Farooq Qaiser.

Tujhe chand kahu ya phool kahu
Tujhe chand kahu ya phool kahu
Mere pyar ka koi nam nahi
Haye nam nahi
Mai teri najar me bas jau
Mai teri najar me bas jau
Duniya se mujhe koi kam nahi
Haye kam nahi

Julfo ki chamak ye kahti hai
Tu koi sunhari nagin hai
Julfo ki chamak ye kahti hai
Tu koi sunhari nagin hai
Har saas me shola tadpe hai
Har geet me dil ki dhadkan hai
Har geet me dil ki dhadkan hai
Aankho me nasha sa chaya hai
Or mere hath me mere jam nahi
Haye jam nahi
Mai teri najar me bas jau
Duniya se mujhe kam nahi
Haye kam nahi

bharatlyrics.com

Do char ghadi ka milna ye
Ab sari umar ka bandhan hai
Do char ghadi ka milna ye
Ab sari umar ka bandhan hai
Tum nam wafa ka lete ho
Duniya to wafa ki dusman hai
Duniya to wafa ki dusman hai
Do pyar bhare dil walo ko
Dunia me kahi aaram nahi
Aaram nahi
Tujhe chand kahu ya phool kahu
Mere pyar ka koi nam nahi
Haye nam nahi
Mai teri najar me bas jau
Duniya se mujhe koi kam nahi
Haye kam nahi.

Tujhe Chand Kahu Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *