Tum Darshan Hum Naina Lyrics - Udit Narayan

Tum Darshan Hum Naina lyrics, the song is sung by Udit Narayan from Isi Life Mein...! (2010). Tum Darshan Hum Naina Bhajan soundtrack was composed by Meet Bros Anjjan with lyrics written by Manoj Muntashir.

Tum darshan hum naina rama
Tum darshan hum naina
Tum darshan hum naina rama
Tum darshan hum naina

bharatlyrics.com

Kaushalya ki kokh se tumne
Janam liya hai aise
Sukh samridhi ki ganga ko
Mukh se janme jaise
Ganga janme jaise
Sarju ke tat jhoom ke
Gaayein pal pal aaj badhaayi
Jug jug ankhiyaan tarsi hai
Tab ghadi yeh pawan aayi
Mil gaya mann ko chaina rama
Tum darshan hum naina
Tum darshan hum naina rama
Tum darshan hum naina

Hum jeevan hain tum mukti
Hum maruthal tum jal ki dhar
Hum swarth ki boond hain rama
Tum karuna ka sindhu apar
Tum karuna ka sindhu apar
Hum deepak tum jyoti
Hum santaan hai tum ho palan haar
Hum asha vishwas ho tum
Hum jhanjhar hain tum jhunkaar
Tum suraj hum raina rama
Tum darshan hum naina
Tum darshan hum naina rama
Tum darshan hum naina.
 

Tum Darshan Hum Naina Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download