Tumhe Apna Banaaya Thaa Lyrics - Rajkumari Dubey

Tumhe Apna Banaaya Thaa lyrics, the song is sung by Rajkumari Dubey from Apni Izzat (1952). The music of Tumhe Apna Banaaya Thaa Playful track is composed by Hansraj Behl while the lyrics are penned by Shewan Rizvi.

Tumhe apnaa banaayaa thha
Main ye bhi bhool jaaungi
Mujhe tumne mitaaya thha
Main ye bhi bhool jaaungi
Main ye bhi bhool jaaungi
Magar bajti huyi shehnaayiaan
Kaise bhulaaungi
Magar bajti huyi shehnaayiaan
Kaise bhulaaungi
Magar bajti huyi

Samal ki chaandni raaton mein wo
Baatein mohabbat ki
Samal ki chaandni raaton mein wo
Baatein mohabbat ki
Bhula doongi wo apne dil ki
Raatein mohabbat ki
Wo raatein mohabbat ki
Magar bajti huyi shehnaayiaan
Kaise bhulaaungi
Magar bajti huyi

bharatlyrics.com

Tumhaari yaad mein tadpaa jo dil
Pehloo dabaa loongi
Tumhaari yaad mein tadpaa jo dil
Pehloo dabaa loongi
Kisi ne haal jab poochaa to
Aankhon ko chhupaa loongi
Main aankhon ko chhupaa loongi
Magar bajti huyi shehnaayiaan ko
Kaise bhulaaungi
Magar bajti huyi.

Tumhe Apna Banaaya Thaa Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download